raat be-parda sī lagtī hai mujhe
ḳhauf ne aisī nazar dī hai mujhe
aah is ma.asūm ko kaise batā.ūñ
kyuuñ use khone kī jaldī hai mujhe
josh meñ haiñ is qadar tīmārdār
Thiik hote sharm aatī hai mujhe
ik latīfa jo samajh meñ bhī na aa.e
us pe hañsnā kyuuñ zarūrī hai mujhe
muntashir hone lage saare ḳhayāl
niiñd bas aane hī vaalī hai mujhe
ab junūñ kam hone vaalā hai mirā
ḳhair itnī to tasallī hai mujhe
laakh maddham ho tirī chāhat kī lau
raushnī utnī hī kaafī hai mujhe
gard hai bārūd kī sar meñ to kyā
maut ik afvāh lagtī hai mujhe