pahlī baar vo ḳhat likkhā thā
jis kā javāb bhī aa saktā thā
ḳhud afvāh uḌātā thā maiñ
ḳhud hī yaqīñ bhī kar letā thā
us se kaho us ruup meñ aa.e
jaisā pahlī nazar meñ lagā thā
bhuul chukā thā de ke sadā maiñ
tab jañgal kā javāb aayā thā
ham to parā.e the is ghar meñ
ham se kaun ḳhafā hotā thā
TuuT ga.e is koshish meñ ham
apnī taraf jhuknā chāhā thā
ulajh rahī thī aañkh kahīñ par
koī mujhe pahchān rahā thā
TuuT gayā phir ġham kā nasha bhī
dukh kitnā sukh de saktā thā
jagah jagah se TuuT rahā huuñ
kis ne mujhe chhū kar dekhā thā
kitne sachche dil se ham ne
apnā apnā jhuuT kahā thā
pahlī baar maiñ us kī ḳhātir
apne liye kuchh soch rahā thā
itne samjhāne vaale the
maiñ kuchh kaise samajh saktā thā
baḌī baḌī āñkhoñ meñ us kī
koī savāl huā kartā thā