Shariq Kaifi

kam se kam duniya se itna mera rishta ho jae

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
kam se kam duniyā se itnā mirā rishta ho jaa.e
koī merā bhī burā chāhne vaalā ho jaa.e
isī majbūrī meñ ye bhiiḌ ikaTThā hai yahāñ
jo tire saath nahīñ aa.e vo tanhā ho jaa.e
shukr us kā adā karne kā ḳhayāl aa.e kise
abr jab itnā ghanā ho ki añdherā ho jaa.e
haañ nahīñ chāhiye us darja mohabbat terī
ki mirā sach bhī tire jhuuT kā hissa ho jaa.e
band āñkhoñ ne sarāboñ se bachāyā hai mujhe
aañkh vaalā ho to is khel meñ andhā ho jaa.e
maiñ bhī qatra huuñ tirī baat samajh saktā huuñ
ye ki miT jaane ke Dar se koī dariyā ho jaa.e
bas isī baat pe ā.īnoñ se bigḌī merī
chāhtā thā mirā apnā koī chehra ho jaa.e
bazm-e-yārāñ meñ yahī rañg to dete haiñ maza
koī ro.e to hañsī se koī dohrā ho jaa.e
Top Urdushayar.com