Shariq Kaifi

guzar raha hai wo lamha to yaad aaya hai

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
guzar rahā hai vo lamha to yaad aayā hai
us ek pal se kabhī kitnā ḳhauf khāyā hai
usī nigāh ne āñkhoñ ko kar diyā patthar
usī nigāh meñ sab kuchh nazar bhī aayā hai
ye tanz yuuñ bhī hai ik imtihān mere liye
tire laboñ se koī aur muskurāyā hai
bahe raqīb ke aañsū bhī mere gāloñ par
ye sāneha bhī mohabbat meñ pesh aayā hai
ye koī aur hai terī taraf saraktā huā
añdherā hote hī jo mujh meñ aa samāyā hai
hamāre ishq se mar.ūb is qadar bhī na ho
ye ḳhuuñ to ek adākār ne bahāyā hai
yahāñ to ret hai patthar haiñ aur kuchh bhī nahīñ
vo kyā dikhāne mujhe itnī duur laayā hai
bahut se bojh haiñ dil par ye koī aisā nahīñ
ye dukh kisī ne hamāre liye uThāyā hai
Top Urdushayar.com