jhuuT par us ke bharosā kar liyā
dhuup itnī thī ki saayā kar liyā
ab hamārī mushkileñ kuchh kam huiiñ
dushmanoñ ne ek chehrā kar liyā
haath kyā aayā sajā kar mahfileñ
aur bhī ḳhud ko akelā kar liyā
hārne kā hausla to thā nahīñ
jiit meñ dushman kī hissa kar liyā
manziloñ par ham mileñ ye tai huā
vāpsī meñ saath pakkā kar liyā
saarī duniyā se laḌe jis ke liye
ek din us se bhī jhagḌā kar liyā
qurb kā us ke uThā kar fā.eda
hijr kā sāmāñ ikaTThā kar liyā
guftugū se hal to kuchh niklā nahīñ
ranjishoñ ko aur taaza kar liyā
mol thā har chiiz kā bāzār meñ
ham ne tanhā.ī kā saudā kar liyā