intihā tak baat le jaatā huuñ maiñ
ab use aise hī samjhātā huuñ maiñ
kuchh havā kuchh dil dhaḌakne kī sadā
shor meñ kuchh sun nahīñ paatā huuñ maiñ
bin kahe ā.ūñgā jab bhī ā.ūñgā
muntazir āñkhoñ se ghabrātā huuñ maiñ
yaad aatī hai tirī sanjīdgī
aur phir hañstā chalā jaatā huuñ maiñ
fāsla rakh ke bhī kyā hāsil huā
aaj bhī us kā hī kahlātā huuñ maiñ
chhup rahā huuñ aa.ine kī aañkh se
thoḌā thoḌā roz dhundlātā huuñ maiñ
apnī saarī shaan kho detā hai zaḳhm
jab davā kartā nazar aatā huuñ maiñ
sach to ye hai mustarad kar ke use
ik tarah se ḳhud ko jhuTlātā huuñ maiñ
aaj us par bhī bhaTaknā paḌ gayā
roz jis raste se ghar aatā huuñ maiñ