kahīñ na thā vo dariyā jis kā sāhil thā maiñ
aañkh khulī to ik sahrā ke muqābil thā maiñ
hāsil kar ke tujh ko ab sharminda sā huuñ
thā ik vaqt ki sach-much tere qābil thā maiñ
kis ehsās-e-jurm kī sab karte haiñ tavaqqo
ik kirdār kiyā thā jis meñ qātil thā maiñ
kaun thā vo jis ne ye haal kiyā hai merā
kis ko itnī āsānī se hāsil thā maiñ
saarī tavajjoh dushman par markūz thī merī
apnī taraf se to bilkul hī ġhāfil thā maiñ
jin par maiñ thoḌā sā bhī āsān huā huuñ
vahī batā sakte haiñ kitnā mushkil thā maiñ
niiñd nahīñ aatī thī sāzish ke dhaḌke meñ
fāteh ho kar bhī kis darja buzdil thā maiñ
ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai
tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ