ajab shikast kā ehsās dil pe chhāyā thā
kisī ne mujh ko nishānā nahīñ banāyā thā
usī nigāh ne āñkhoñ ko kar diyā patthar
usī nigāh meñ sab kuchh nazar bhī aayā thā
yahāñ to ret hai patthar haiñ aur kuchh bhī nahīñ
vo kyā dikhāne mujhe itnī duur laayā thā
ulajh gayā huuñ kuchh aisā ki yaad bhī to nahīñ
ye vahm pahle-pahal kaise dil meñ aayā thā
vo maiñ nahīñ thā tumhārī taraf saraktā huā
havas ne tīrgī kā fā.eda uThāyā thā
bichhaḌnā itnā hī āsān thā agar us se
to ḳhud-kushī kā ye sāmān kyuuñ juTāyā thā
gilā to aaj bhī sachchā.ī hai magar 'shāriq'
ye jhuuT us se meñ pahle hī bol aayā thā