log sah lete the hañs kar kabhī be-zārī bhī
ab to mashkūk huī apnī milan-sārī bhī
vaar kuchh ḳhālī ga.e mere to phir aa hī ga.ī
apne dushman ko duā dene kī hushyārī bhī
umr bhar kis ne bhalā ġhaur se dekhā thā mujhe
vaqt kam ho to sajā detī hai bīmārī bhī
kis tarah aa.e haiñ is pahlī mulāqāt talak
aur mukammal hai judā hone kī tayyārī bhī
uub jaatā huuñ zehānat kī numā.ish se to phir
lutf detā hai ye lahja mujhe bāzārī bhī
umr baḌhtī hai magar ham vahīñ Thahre hue haiñ
Thokareñ khā.īñ to kuchh aa.e samajhdārī bhī
ab jo kirdār mujhe karnā hai mushkil hai bahut
mast hone kā dikhāvā bhī hai sar bhārī bhī