Shariq Kaifi

hath aata to nahin kuchh pa taqaza kar aaen

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
haath aatā to nahīñ kuchh pa taqāza kar aa.eñ
aur ik baar galī kā tirī pherā kar aa.eñ
niiñd ke vāste vaise bhī zarūrī hai thakan
pyaas bhaḌkā.eñ kisī saa.e kā pīchhā kar aa.eñ
lutf detī hai masīhā.ī par itnā bhī nahīñ
josh meñ apne hī bīmār ko achchhā kar aa.eñ
log mahfil meñ bulāte hue katrāte the
ab nahīñ dhaḌkā ye ḳhud se ki kahāñ kyā kar aa.eñ
kaash mil jaa.e kahīñ phir vahī ā.īna-sifat
naqsh be-rabt bahut haiñ inheñ chehra kar aa.eñ
kitnī āsānī se ham us ko bhulā sakte haiñ
bas kisī tarah use dūsroñ jaisā kar aa.eñ
ye bhī mumkin hai ki ham haar se bachne ke liye
apne dushman ke kisī vaar meñ hissa kar aa.eñ
baat maazī ko alag rakh ke bhī ho saktī hai
ab jo hālāt haiñ un par kabhī charchā kar aa.eñ
ye batā kar ki ye raunaq to zarā der kī hai
sāhib-e-bazm ke haijān ko ThanDā kar aa.eñ
kyā vajūd us kā agar koī tavajjoh hī na de
ham ki jab chāheñ use bhiiḌ kā hissa kar aa.eñ
Top Urdushayar.com