siyāne the magar itne nahīñ ham
ḳhamoshī kī zabāñ samjhe nahīñ ham
anā kī baat ab sunñā paḌegī
vo kyā sochegā jo rūThe nahīñ ham
adhūrī lag rahī hai jiit us ko
use haare hue lagte nahīñ ham
hameñ to rok lo uThne se pahle
palaT kar dekhne vaale nahīñ ham
bichhaḌne kā tire sadma to hogā
magar is ḳhauf ko jiite nahīñ ham
tire rahte to kyā hote kisī ke
tujhe kho kar bhī duniyā ke nahīñ ham
ye manzil ḳhvāb hī rahtī hamesha
agar ghar lauT kar aate nahīñ ham
kabhī soche to is pahlū se koī
kisī kī baat kyuuñ sunte nahīñ ham
abhī tak mashvaroñ par jī rahe haiñ
kisī sūrat baḌe hote nahīñ ham