Shariq Kaifi

safar se mujhko bad-dil kar raha tha

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
safar se mujh ko bad-dil kar rahā thā
bhañvar kā kaam sāhil kar rahā thā
vo samjhā hī kahāñ us martabe ko
maiñ us ko dukh meñ shāmil kar rahā thā
hamārī fat.h thī maqtūl honā
yahī koshish to qātil kar rahā thā
koī to thā mire hī qāfile meñ
jo merā kaam mushkil kar rahā thā
vo Thukrā kar gayā is daur meñ jab
maiñ jo chāhūñ vo hāsil kar rahā thā
tirī bātoñ meñ yuuñ bhī aa gayā maiñ
bhaTakne kā bahut dil kar rahā thā
koī mujh sā hī dīvāna thā shāyad
jo vīrāne meñ mahfil kar rahā thā
ye dil ḳhud-ġharz dil ġham-ḳhvār terā
ḳhushī ġham meñ bhī hāsil kar rahā thā
samajhtā thā maiñ sāzish aa.ine kī
mujhe mere muqābil kar rahā thā
Top Urdushayar.com