ye kuchh badlāv sā achchhā lagā hai
hameñ ik dūsrā achchhā lagā hai
samajhnā hai use nazdīk jā kar
jise mujh sā burā achchhā lagā hai
ye kyā har vaqt jiine kī duā.eñ
yahāñ aisā bhī kyā achchhā lagā hai
safar to zindagī bhar kā hai lekin
ye vaqfa sā zarā achchhā lagā hai
mirī nazreñ bhī haiñ ab āsmāñ par
koī mahv-e-duā achchhā lagā hai
hue barbād jis ke ishq meñ ham
vo ab jā kar zarā achchhā lagā hai
vo sūraj jo mirā dushman thā din bhar
mujhe Dhaltā huā achchhā lagā hai
koī pūchhe to kyā batlā.eñge ham
ki is manzar meñ kyā achchhā lagā hai