ḳhvāb vaise to ik ināyat hai
aañkh khul jaa.e to musībat hai
jism aayā kisī ke hisse meñ
dil kisī aur kī amānat hai
jaan dene kā vaqt aa hī gayā
is tamāshe ke ba.ad fursat hai
umr bhar jis ke mashvaroñ pe chale
vo pareshān hai to hairat hai
ab sañvarne kā vaqt us ko nahīñ
jab hameñ dekhne kī fursat hai
us pe utne hī rañg khulte haiñ
jis kī āñkhoñ meñ jitnī hairat hai