Shariq Kaifi

jo kahta hai ki dariya dekh aaya

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
jo kahtā hai ki dariyā dekh aayā
ġhalat mausam meñ sahrā dekh aayā
Dagar aur manzileñ to ek sī thiiñ
vo phir mujh se judā kyā dekh aayā
har ik manzar ke pas-e-manzar the itne
bahut kuchh be-irāda dekh aayā
kisī ko ḳhaak de kar aa rahā huuñ
zamīñ kā asal chehra dekh aayā
rukā mahfil meñ itnī der tak maiñ
ujāloñ kā buḌhāpā dekh aayā
tasallī ab huī kuchh dil ko mere
tirī galiyoñ ko suunā dekh aayā
tamāshā.ī meñ jaañ aTkī huī thī
palaT kar phir kināra dekh aayā
bahut gadlā thā paanī is nadī kā
magar maiñ apnā chehra dekh aayā
maiñ is hairat meñ shāmil huuñ to kaise
na jaane vo kahāñ kyā dekh aayā
vo manzar dā.imī itnā hasīñ thā
ki maiñ hī kuchh ziyāda dekh aayā
Top Urdushayar.com