Shariq Kaifi

KHamoshi bas KHamoshi thi ijazat ab hui hai

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
ḳhamoshī bas ḳhamoshī thī ijāzat ab huī hai
ishāroñ ko tire paḌhne kī jur.at ab huī hai
ajab lahje meñ karte the dar-o-dīvār bāteñ
mire ghar ko bhī shāyad merī aadat ab huī hai
gumāñ huuñ yā haqīqat sochne kā vaqt kab tak
ye ho kar bhī na hone kī musībat ab huī hai
achānak haḌbaḌā kar niiñd se maiñ jaag uTThā huuñ
purānā vāqi.a hai jis pe hairat ab huī hai
yahī kamra thā jis meñ chain se ham jī rahe the
ye tanhā.ī to itnī be-muravvat ab huī hai
bichhaḌnā hai hameñ ik din ye donoñ jānte the
faqat ham ko judā hone kī fursat ab huī hai
ajab thā mas.ala apnā ajab sharmindagī thī
ḳhafā jis raat par the vo sharārat ab huī hai
mohabbat ko tirī kab se liye baiThe the dil meñ
magar is baat ko kahne kī himmat ab huī hai
Top Urdushayar.com