Haidar Qureshi

ajib karb-o-bala ki hai raat aankhon mein

Haidar Qureshi

1953
ajiib karb-o-balā kī hai raat āñkhoñ meñ
sisaktī pyaas laboñ par furāt āñkhoñ meñ
tumheñ to gardish-e-daurāñ ne rauñd Daalā hai
rahī na koī bhī pahlī sī baat āñkhoñ meñ
qatār-vār sitāroñ kī jagmagāhaT se
sajā ke laa.e haiñ ġham kī barāt āñkhoñ meñ
phir us ko dāman dil meñ kahāñ kahāñ rakkheñ
sameT sakte haiñ jo kā.enāt āñkhoñ meñ
bikhar ga.e haiñ milan ke tamām din 'haidar'
Thahar ga.ī hai judā.ī kī raat āñkhoñ meñ
Top Urdushayar.com