sab āsān huā jaatā hai
mushkil vaqt to ab aayā hai
jis din se vo judā huā hai
maiñ ne jism nahīñ pahnā hai
koī darāḌ nahīñ hai shab meñ
phir ye ujālā sā kaisā hai
barsoñ kā bachhḌā huā saaya
ab aahaT le kar lauTā hai
apne aap se Darne vaalā
kis pe bharosa kar saktā hai
ek mahāz pe haare haiñ ham
ye rishta kyā kam rishta hai
qurb kā lamha to yāroñ ko
chup karne meñ guzar jaatā hai
sūraj se sharteñ rakhtā huuñ
ghar meñ charāġh nahīñ jaltā hai
dukh kī baat to ye hai 'shāriq'
us kā vahm bhī sach niklā hai