Shariq Kaifi

kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhona hai yahan

Shariq Kaifi

Bareilly, Uttar pradesh, India

1961
kuchh qadam aur mujhe jism ko Dhonā hai yahāñ
saath laayā huuñ usī ko jise khonā hai yahāñ
bhiiḌ chhaT jā.egī pal meñ ye ḳhabar uḌte hī
ab koī aur tamāshā nahīñ honā hai yahāñ
ye bhañvar kaun sā motī mujhe de saktā hai
baat ye hai ki mujhe ḳhud ko Dubonā hai yahāñ
kyā milā dasht meñ aa kar tire dīvāne ko
ghar ke jaisā hī agar jāgnā sonā hai yahāñ
kuchh bhī ho jaa.e na mānūñgā magar jism kī baat
aaj mujrim to kisī aur ko honā hai yahāñ
yuuñ bhī darkār hai mujh ko kisī bīnā.ī kā lams
ab kisī aur kā honā mirā honā hai yahāñ
ashk palkoñ pe sajā luuñ maiñ abhī se 'shāriq'
shab hai baaqī to tirā zikr bhī honā hai yahāñ
Top Urdushayar.com