Haidar Qureshi

us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

Haidar Qureshi

1953
us darbār meñ lāzim thā apne sar ko ḳham karte
varna kam-az-kam apnī āvāz hī maddham karte
is kī anā taskīn nahīñ paatī ḳhālī lafzoñ se
shāyad kuchh ho jaatā asar tum girya-e-paiham karte
siikh liyā hai āḳhir ham ne ishq meñ ḳhush ḳhush rahnā
dard ko apnī davā banāte zaḳhm ko marham karte
kaam hamāre hisse ke sab kar gayā thā divāna
kaun sā aisā kaam thā baaqī jis ko ab ham karte
har jaane vaale ko dekh ke rakh liyā dil par patthar
kis kis ko rote āḳhir kis kis kā mātam karte
dil to hamārā jise patthar se bhī saḳht huā thā
patthar paanī ho gayā sūkhī āñkhoñ ko nam karte
ban jaatā tiryāq usī kā zahr agar tum 'haidar'
koī aayat pyaar kī paḌhte aur us par dam karte
Top Urdushayar.com