Shabnam Naqvi

pi raha hai zindagi ki dhup kitne pyar se

Shabnam Naqvi

Mugarson, Uttar pradesh, India

1933
pī rahā hai zindagī kī dhuup kitne pyaar se
duur jo baiThā huā hai sāya-e-dīvār se
gosha-e-dil kī ḳhamoshī ghar meñ bhī miltī nahīñ
ghar ke hañgāme bhī kam hote nahīñ bāzār se
sochte kyā ho mire ghar meñ diyā koī nahīñ
raushnī to aa rahī hai rauzan-e-dīvār se
zindagī ke har qadam meñ vaqt kī raftār hai
zindagī ko nāpnā kyā vaqt kyā raftār se
manzil-e-shahr-e-tamannā shāyad ab nazdīk hai
kyuuñ nazar aane lage haiñ rāste dushvār se
kis qadar ḳhuddār the do paañv ke chhāle na pūchh
koī sargoshī na kī zanjīr kī jhankār se
dukh meñ jab 'shabnam' use dekhā to andāza huā
phuul kī pattī bhī kam hotī nahīñ talvār se
Top Urdushayar.com