Asim Bakhshi

junun ke qafilon ki be-nishan manzil ka kya kahna

Asim Bakhshi

1974
junūñ ke qāfiloñ kī be-nishāñ manzil kā kyā kahnā
asīrān-e-ḳhirad ke haal meñ shāmil kā kyā kahnā
jamāl-e-mastī-e-ġharqāb meñ dam-ḳham to hai lekin
kisī chashm-e-fanā kī ḳhvāhish-e-sāhil kā kyā kahnā
darūn-e-azdahām-e-mardumāñ gar ḳhud se milnā ho
to aisī ittifāqī munfarid mahfil kā kyā kahnā
hai gar apnā muqaddar kushta-e-teġh-e-jafā honā
to phir ek nā-gahānī pañja-e-qātil kā kyā kahnā
tire qasr-e-vafā kī chhat tale zinda to haiñ ham-dam
magar is sā.ebān-e-shauq-e-lā-hāsil kā kyā kahnā
hameñ bhī ishtiyāq-e-inkishāf-e-haq to hai 'āsim'
magar is maḳhmase is dā.imī mushkil kā kyā kahnā
Top Urdushayar.com