Asim Bakhshi

mera guman hai shayad ye waqia ho jae

Asim Bakhshi

1974
mirā gumān hai shāyad ye vāqi.a ho jaa.e
ki shaam mujh meñ Dhale aur sab fanā ho jaa.e
ho baat us se kuchh aise ki vaqt sākit ho
kalām apnā takallum se māvarā ho jaa.e
bachā ke aañkh maiñ ḳhud apnī khoj meñ niklūñ
mire vajūd meñ ek chor rāsta ho jaa.e
kuchh is tarah vo nigāh-e-ḳhayāl meñ utre
ki us ke aage jhukūñ aur vo ḳhudā ho jaa.e
atā ho chashm-e-tamannā ko vo qarīna-e-dīd
ki shauq dast-e-taqāzā se mā-sivā huā jaa.e
rahe ye tishna-labī dasht-e-shauq meñ qaa.em
vo intihā.eñ mileñ merī ibtidā ho jaa.e
nasīb ho kabhī aisī bhī ik sahar 'āsim'
ki shām-e-hijr kī furqat kā sāneha ho jaa.e
Top Urdushayar.com