Asim Bakhshi

har dam kuchh iztirab ke aise bhanwar mein hun

Asim Bakhshi

1974
har dam kuchh iztirāb ke aise bhañvar meñ huuñ
jaise kisī duā-e-zarar ke asar meñ huuñ
bah jā.ūñ ban ke sail-e-ravāñ is zamīn par
maiñ ik udaas shaam kisī chashm-e-tar meñ huuñ
ḳhud kī talāsh meñ hī zamāne guzar ga.e
kyā apnī justujū hī ke dām-e-sahar meñ huuñ
jaise kisī ujaaḌ ḳharābe meñ guuñj ho
maujūd is tarah tire dīvār-o-dar meñ huuñ
manzil-shanās ban na sakā maiñ to kyā huā
itnā to jāntā huuñ ki rāh-e-safar meñ huuñ
'āsim' mizāj meñ haiñ tamannā.eñ is tarah
jaise maiñ aaj tak koī bachcha sā ghar meñ huuñ
Top Urdushayar.com