Asim Bakhshi

ajib shaKHs hun fart-e-wabaal hote hue

Asim Bakhshi

1974
ajiib shaḳhs huuñ fart-e-vabāl hote hue
firāq maañg rahā huuñ visāl hote hue
niDhāl apne tamāshā.iyoñ ke jhurmuT meñ
maiñ ḳhud ko dekh rahā huuñ ḳhayāl hote hue
bas ek varzish-e-tahrīr lauh-e-hastī par
bas ik savāl kī dhun ḳhud savāl hote hue
kuchh is kamāl se rauñdā gayā huuñ mastī meñ
bahut sukūn hai ab pā.emāl hote hue
sharār-e-sañg ko kyā ab bhī isti.āra kahūñ
in āñsuoñ kī ye zinda misāl hote hue
guzar gayā huuñ misāl-e-zamāna ḳhud par se
maiñ lamha lamha alal-ittisāl hote hue
maiñ apne aks ko 'āsim' ḳhudā samajh baiThā
ḳhatā huī thī ye mahv-e-jamāl hote hue
Top Urdushayar.com