tabsira yuuñ na mire haal pe itnā hotā
us ko nazdīk se duniyā ne jo dekhā hotā
koī marte hue lamhoñ kā masīhā hotā
karb tanhā.ī kā ehsās na itnā hotā
ye jo aahaT kī tarah saath mire rahtā hai
ban ke tasvīr kabhī sāmne aayā hotā
de gayā jo mujhe tapte hue lamhoñ kā gudāz
kaash vo dard mire vāste tanhā hotā
maiñ ki jaisā huuñ ba-har-hāl nazar meñ aatā
mujh ko ehsās kī nazroñ se to dekhā hotā
aisā lagtā hai dobārā na milegā mujh se
is tarah TuuT ke vo yaad na aayā hotā
kyā milā jaag ke batlā.īye 'shabnam'-sāhab
is se achchhā thā koī ḳhvāb hī dekhā hotā