Asim Bakhshi

raat bhar shoala-e-jaan KHub baDhaya jae

Asim Bakhshi

1974
raat bhar sho.ala-e-jāñ ḳhuub baḌhāyā jaa.e
phir dam-e-sub.h hī ḳhvāboñ ko jalāyā jaa.e
jab qazā likh hī chukī silsila-e-rāh-e-fanā
kyuuñ na phir vaqt-e-ajal jald bulāyā jaa.e
sā.at-e-shām-e-ġham-e-hijr kā sannāTā hai
shahr-e-auhām ko sapnoñ se sajāyā jaa.e
jiddat-e-vahshat-e-sahrā ke liye lāzim hai
dasht ke beach ab ik shahr basāyā jaa.e
bār-e-jāñ laad liyā sar pe aur ab sochte haiñ
itnā kaafī hai ki kuchh bojh baḌhāyā jaa.e
kurra-e-dīd ko daurān-e-taqāzā-e-nazar
kashish-e-saql-e-nazāra se chhuḌāyā jaa.e
shorish-e-ḳhāk-o-lahū dekh ke us ne sochā
kyuuñ na ab ashk se insān banāyā jaa.e
tah se le aa.eñ use ham magar itnā to khule
kitnī gahrā.ī meñ jā kar use paayā jaa.e
Top Urdushayar.com