javāb māñgtā thā maiñ savāl de diyā gayā
talāsh dar talāsh kā vabāl de diyā gayā
atā huā thā jab yaqīñ kī sabz vādiyoñ meñ ghar
to kyuuñ dar-e-gumāñ pas-e-ḳhayāl de diyā gayā
mirī zamīn-e-chashm-e-nam meñ ḳhvāb bo diye ga.e
mujhe ḳhamīr-e-shauq lā-zavāl de diyā gayā
havāoñ ko dayār-e-dil kī raat sauñp dī ga.ī
badan ko sham-e-nā-tavāñ kā haal de diyā gayā
tumhāre ba.ad daulat-e-ġham-e-jahān mil ga.ī
duā qubūl ho ga.ī malāl de diyā gayā
nasīb-var tumheñ to tauq-e-hasrat-e-fanā milā
hameñ to ḳhauf-e-lamha-e-visāl de diyā gayā
ye dāstān-e-tifl-e-nai savār-e-raḳhsh-e-āgahī
kamāl phir zavāl phir kamāl de diyā gayā