jaane kyuuñ hai zehn ġhālib ki maiñ soyā huā huuñ
ā.ina-ḳhāna-e-aflāk meñ khoyā huā huuñ
huuñ musallas yā koī dā.era tajrīdī sā
zehn-e-yazdāñ meñ maiñ tamsīl sā goyā huā huuñ
naddiyāñ bhar ga.iiñ labrez haiñ dariyā saare
hai ye barsāt kī jal-thal ki maiñ royā huā huuñ
jāntā huuñ ki ye hasrat hī mirī manzil hai
shauq kī tishna zamīnoñ meñ jo boyā huā huuñ
dard kā kyā hai mire chhed mujhe pyāre haiñ
maiñ tamannāoñ ke kāñToñ meñ piroyā huā huuñ
chīrtī hai jo sadā maut se sannāTe ko
kyā ye tū hai yā maiñ apne hī se goyā huā huuñ
mere chehre kī daraḳhshānī se māyūs na ho
sirf itnā hai ki ashkoñ se maiñ dhoyā huā huuñ
gasht-e-aflāk kī hājat mujhe kyuuñ kar hogī
maiñ ḳhud apne hī ḳhalāoñ meñ samoyā huā huuñ
'āsim' ab ke jo maiñ Dūbūñ to kuchh aise niklūñ
jaise lafzoñ ke samundar meñ bhigoyā huā huuñ