kyā ye mumkin hai ki ik ḳhvāb musalsal dekhūñ
niiñd khul jaa.e to manzar yahī phir kal dekhūñ
nīm-vā parda-e-dil kaash girā de koī
dekh pā.ūñ tirā chehra to mukammal dekhūñ
qaaf ke paar kisī des meñ jā kar utrūñ
āsmāñ par tujhe namnāk sā bādal dekhūñ
dasht-e-imkāñ se pare vaqt ke dar par pahuñchūñ
ek lamhe ko jakaḌ luuñ use pal pal dekhūñ
jaane kyā ālam-e-vahshat-asarī ho andar
kaun sā dasht vahāñ kaun sā jañgal dekhūñ
nabz ruk jaa.e nahīñ ye nahīñ lekin ai kaash
hazrat-e-dil maiñ kabhī 'mīr' sā dañggal dekhūñ