gumāñ ke raḳhsh-e-subuk kī ayaal thāme hue
bhaTak rahā huuñ junūñ meñ ḳhayāl thāme hue
baqā kī jañg meñ ḳhud se falak se duniyā se
maiñ laḌ rahā huuñ tamannā kī Dhaal thāme hue
vo kashmakash bhī shanāsā.iyoñ kī kyā hogī
mileñge ḳhud se jab apne sifāl thāme hue
har ek pal koī bār-e-garāñ sā lagtā hai
ki jaise lamha guzārtā huuñ saal thāme hue
sarosh-e-ġhaib ke ma.abad ke sāmne masjūd
sabhī javāb haiñ gum-sum savāl thāme hue
maiñ zer-e-mauj-e-balā sirf itnā dekh sakā
za.iif haath purānā sā jaal thāme hue
zamīn-e-chashm kī andhī amiiq tah meñ kahīñ
ġhusīl ḳhvāb haiñ 'āsim' kudāl thāme hue