zindagānī se lipaT kar ḳhud ko bahlātā huuñ maiñ
ye kahānī roz apne aap dohrātā huuñ maiñ
sub.h-dam maiñ kholtā huuñ qufl jis zindān kā
din Dhale us qaid-ḳhāne meñ palaT aatā huuñ maiñ
pāTtā rahtā huuñ din bhar ik ḳhalīj-e-zāt ko
phir kisī anjān andeshe se pachhtātā huuñ maiñ
din chaḌhe auhām kī manDī meñ saudā bech kar
raat ko afkār ke bistar pe gir jaatā huuñ maiñ
oḌh letā huuñ maiñ chādar aql-o-istidlāl kī
dāstānoñ loriyoñ se ḳhud ko bahlātā huuñ maiñ
ḳhvāb meñ aksar kināre chashma-e-imkān ke
mastī-e-harf-o-suḳhan kī lai meñ chakrātā huuñ maiñ
chhoḌtā huuñ haath apnā shāhrāh-e-shauq par
manzil-e-maqsūd par phir ḳhud ko mil jaatā huuñ maiñ
jab bhī miltā huuñ ḳhud apne aap se tanhā.ī meñ
pūchhtā huuñ kyā gañvāyā aur kyā paatā huuñ maiñ
ḳhud hī kartā huuñ tirī yādeñ maiñ maazī ke sipurd
phir kahīñ se ek lamha DhūñD kar laatā huuñ maiñ
tujh meñ aksar DhūñDhtā huuñ maiñ tujhe 'āsim' magar
tū kahāñ hai kaun hai kab kis ko samjhātā huuñ maiñ