jhūTā ye pyaar uuprī chāhat nahīñ qubūl
is baab meñ koī bhī vazāhat nahīñ qubūl
saada huuñ maiñ hai dil ko mire sādgī aziiz
donoñ ko ḳhud-numā.ī kī aadat nahīñ qubūl
apnā zamīr bech ke shohrat agar mile
baiThegī jhaag ban ke vo shohrat nahīñ qubūl
jo chāhe naam apnā likhe āb-e-zar ke saath
mujh ko ye āb-e-zar kī ibārat nahīñ qubūl
be-shak ġhazal chhape na chhape bin liye-diye
mujh ko suḳhan meñ aisī tijārat nahīñ qubūl
behtar yahī hai farsh-e-zamīñ par rahe nashist
paisoñ se jo mile vo sadārat nahīñ qubūl
'ḳhusrav' kisī kā aage nikalnā nahīñ pasand
parchhā.īñ kī bhī mujh ko qayādat nahīñ qubūl