abhī to zaḳhm purāne na bhuul paa.e haiñ
huzūr phir mirī vahshat pe muskurā.e haiñ
ye husn-e-abr-e-ravāñ shola-hā-e-lāla-o-gul
tire jamāl kī ra.anā.iyoñ ke saa.e haiñ
vahīñ vahīñ pe sambhālā tire tasavvur ne
jahāñ jahāñ bhī qadam mere Dagmagā.e haiñ
sunā chukī hai mujhe bhī ḳhizāñ kī ḳhāmoshī
jo giit tū ne bahāroñ ke saath gaa.e haiñ