Waliullah Muhib

shorish se chashm-e-tar ki zi-bas gharq-e-ab hun

Waliullah Muhib

shorish se chashm-e-tar kī zi-bas ġharq-e-āb huuñ
din raat bahr-e-ġham meñ ba-rañg-e-hubāb huuñ
ye daur ab to hai ki raqīboñ kī bazm meñ
tū mast ho sharāb se aur maiñ kabāb huuñ
mujh ḳhūñ-girafta par mire qātil kamar na bāñdh
meñ aap apne qatl kā ḳhvāhāñ shitāb huuñ
har sub.h-o-shām baaġh meñ sahrā meñ juuñ nasīm
us gul kī justujū kī havas par ḳharāb huuñ
hairat se us ko dekhte haiñ misl-e-ā.ina
ifshā-e-dard-e-dil se khaḌā be-javāb huuñ
āgāh hai ḳhudā hī 'muhib' roz kis liye
nazroñ meñ un butāñ kī mahall-e-itāb huuñ
Top Urdushayar.com