kāfir hue sanam ham dīñ-dār terī ḳhātir
tasbīh toḌ bāñdhā zunnār terī ḳhātir
gul sīna-chāk bulbul nālāñ chaman meñ dekhī
āñkhoñ ke dukh se nargis bīmār terī ḳhātir
abrū kī tū ishārat jis kī taraf kare thā
chaltī thī mujh meñ us meñ talvār terī ḳhātir
maiñ jhuuT sach bhī yak-dam aañsū na un ke poñchhe
jo chashm roz-o-shab haiñ ḳhūñ-bār terī ḳhātir
sab āshnāoñ se ham begāna ho rahe the
ab zindagī hai apnī dushvār terī ḳhātir
masjid meñ mai-kade meñ kyā kaifī aur suufī
behosh terī ḳhātir hoshyār terī ḳhātir
jo rāh-e-āshiqī meñ thī pastī-o-bulandī
vo ham ne kī sarāsar hamvār terī ḳhātir
pathrā ga.ī haiñ āñkheñ anjum kī tarah har shab
bedār rahte rahte ai yaar terī ḳhātir
is abr meñ chaman ne kyā kyā kiyā hai saaqī
asbāb mai-kashī kā tayyār terī ḳhātir
har ġhuncha hai gulābī har gul hai sāġhar-e-mai
mai-ḳhāna ho rahā hai gulzār terī ḳhātir
aage to kūcha-gardī sheva na thā 'muhib' kā
kī ab shurūa us ne nā-chār terī ḳhātir