shab-e-firāq na kaaTe kaTe hai kyā kiije
na sub.h ho.e hai na pau phaTe hai kyā kiije
safā thā aks-e-ruḳh us ke se dil kā ā.īna
ab us pe zañg-e-kudūrat aTe hai kyā kiije
rahīm-o-rām kī sumran hai shaiḳh-o-hindū ko
dil us ke naam kī raTnā raTe hai kyā kiije
basān har mizha par pāra-e-dil-majrūh
har ek pal na shumurda baTe hai kyā kiije
piye thā raat to kal ġhair paas yaar sharāb
aur aaj qasmeñ hī khā khā naTe hai kyā kiije
ye juuñ juuñ va.ade ke din raat paḌte jaate haiñ
ghaḌī ghaḌī meñ mirā jī kaTe hai kyā kiije
raqīb jam ke ye baiThā ki ham uThe nā-chār
ye patthar ab na haTā.e haTe hai kyā kiije
jigar ke TukḌoñ se jab tak ki god bhar le aa.e
ye tifl-e-ashk to ro-ro haTe hai kyā kiije
ye duḳht-e-raz koī aise luTī mile hai 'muhib'
dil us kī taak meñ apnā luTe hai kyā kiije