Shabnam Naqvi

hikayat-e-lab-o-ruKHsar se aage nahin jati

Shabnam Naqvi

Mugarson, Uttar pradesh, India

1933
hikāyāt-e-lab-o-ruḳhsār se aage nahīñ jaatī
tamannā kyā jo tere pyaar se aage nahīñ jaatī
ka.ī tūfān us mañjdhār se aage bhī haiñ lekin
nigāh-e-nā-ḳhudā mañjdhār se aage nahīñ jaatī
maiñ aksar sochtā rahtā huuñ tere sāmne jā kar
tamannā kyuuñ lab-e-iz.hār se aage nahīñ jaatī
shikast-e-shīsha-e-dil kī sadā uThtī to hai lekin
subū-o-jām kī jhankār se aage nahīñ jaatī
nigāh-o-dil kī vus.at meñ hameñ tarmīm karnī hai
nazar kyā hai jo husn-e-yār se aage nahīñ jaatī
ajab ahl-e-mohabbat haiñ kabhī terī mohabbat haiñ
baḌhī gar baat bhī to daar se aage nahīñ jaatī
ye kaise log haiñ 'shabnam' abhī tak jo ye kahte haiñ
ġhazal kyuuñ narmī-e-guftār se aage nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com