Waliullah Muhib

ashk-bari ka meri aankhon ne ye bandha hai jhaD

Waliullah Muhib

ashk-bārī kā mirī āñkhoñ ne ye bāñdhā hai jhaaḌ
Dūbte dikhlā.ī deñ haiñ tā-kamar saare pahāḌ
ġhair ko tū ne ishārat kī churā kar ham se aañkh
ham bhī ik ayyār haiñ pyāre ga.e fil-faur taaḌ
mujh ko kyā be-ḳhud kiyā saaqī kī chashm-e-mast ne
ik nigāh-e-tund se us ne safeñ Dālīñ pachhāḌ
un ko phir shor-e-qayāmat bhī uThā saktā nahīñ
mard rāh-e-ishq meñ jo baiThte haiñ paañv gaaḌ
ham to māyūs-e-rihā.ī is baras haiñ ham-safīr
bāl-o-par sayyād ne Daale qafas meñ sab ukhāḌ
jab talak dil meñ na ho ik shaḳhs kī ulfat ko raah
kholnā be-fā.eda hai dekh use ghar ke kivāḌ
vo jo lailā hai mire dil meñ sune us kā jo shor
qais nikle gor se bāhar kafan ko chīr-phāḌ
shaiḳh mai-ḳhāna kī mat chal raah mai-ḳhvāroñ se Dar
mil ke do bad-mast deñge aap kī saj vaañ bigāḌ
yaañ nafas meñ karte haiñ apnī par-afshānī kī sair
fariġhul-bāl ab haiñ gul-chīnī se ham dāman ko jhaaḌ
parda-e-mīnā meñ rakhtī hai sabhoñ se tāk-jhāñk
duḳhtar-e-raz se nahīñ dekhī koī gajjhī khilāḌ
suukh kar har ustuḳhvāñ juuñ ne hai us ke ishq meñ
sach hai jo mutrib pisar kā uThtā hai siine meñ haaḌ
chāñdnī meñ jab vo nau-ḳhat nīmcha le haath meñ
maah us ko dekh lene kī sipar le muñh pe aaḌ
apne rahne ko jo tū chāhe so kar un meñ pasand
do makāñ duniyā meñ haiñ ābād ik aur ik ujaaḌ
mai-kade meñ mast haiñ aur shor un kā haav ho
madrase meñ shaiḳh haiñ aur vā.e-vailā tauba dhaaḌ
shakl-e-mah us mehr-vash bin apnī nazroñ meñ 'muhib'
hai ye kuchh pur-dūd juuñ jhuktā hai bhaḌbhūnje kā bhaaḌ
Top Urdushayar.com