vahīñ jī uThte haiñ murde ye kyā Thokar se chhūnā hai
vo raftār aur vo qāmat qayāmat kā namūna hai
ghuTā aatā hai dam ye ishq ne ātish hai sulgā.ī
dil-e-sozāñ se yā qismat dhuāñ āñkhoñ kā duunā hai
are o ḳhāna-ābād itnī ḳhūñ-rezī ye qattālī
ki ek āshiq nahīñ kūcha tirā vīrān suunā hai
kabāb-e-dil agarche soḳhta hai chakh to ai kaifī
ye añgāroñ par āh-e-ātishīñ ne ḳhuub bhūnā hai
mubassir jauhar-e-ḳhat par kahīñ haiñ us ke abrū ko
surūhī koī hai be-kal ki jis kā ab ye kuunā hai
tilism ik husn ḳhalq-allah ke aalam kā dil pe hai
phiro irān-o-turkistān faringistāñ-o-yūnā hai
hamāre āh-e-tīr-e-be-kamāñ ne ḳhāna-e-dil se
ye ruḳh pherā ki tā-bām-e-falak bāñdhā sutūnā hai
jahāñ ahl-e-vara.a majlis meñ hoñ vo baḳhsh lene ko
nishāñ naqsh-e-danī kā saath ik laḌkā jamūnā hai
agar tasvīr-e-rañg-e-zard-e-āshiq ḳhūb-rū dekheñ
koī batlā.egā suunā ghar kā koī kuunā hai
diyā maiñ paan use ik reḳhta paḌh kar lagā kahne
ye iiñTī khuuī kā katthā hai aur kañkar kā chūnā hai
tujhe detā hai baazī ai 'muhib' bach jā.iyo us se
ki naT-khaT us ke yaar aur vo daġhābāz ek ghūnā hai