bulbul vo gul hai ḳhvāb meñ tū gā ke mat jagā
yā chuTkiyoñ kī ġhunchoñ se bajvā ke gat jagā
vo gul-ezār baaġh meñ aave jo rahm kar
kahte haiñ gul guloñ se kareñ aaj rat-jagā
hamdam vo bazla-sanj to aate hī so rahā
ḳhush-tab.iyoñ se bol ke bāham jagat jagā
tā-sub.h shaam se rahe majlis meñ daur-e-jām
saaqī hameñ jagā.e to bā-kaifiyat jagā
kaaTī hai bekalī se shab-e-hijr-e-gul-ruḳhāñ
Tuk aañkh lag ga.ī hai sabā ham ko mat jagā
hai mujh ko us kī nāzukī-e-tab.a se lihāz
duuñ varna āñkheñ paañv se mal kar turat jagā
farhād-o-qais chhoḌ ga.e kishvar-e-junūñ
naubat par apnī vaañ kī dilā saltanat jagā