saath ġhairoñ ke hai sadā gaT-paT
ik hamīñ se rakhe hai dil meñ kapaT
chañgul-e-bāz haiñ tirī mizhgāñ
tā.ir-e-dil ko pal meñ le hai jhapaT
terī is vaz-e-dil-rubā.ī se
ghar ke ghar ho ga.e haiñ chūḌ-chapaT
vo bhī din phir dikhā.egā allāh
raat ko so.e tū gale se lipaT
paas jab ġhair ko biThātā hai
jaa.e hai dil tire milāp se haT
dete ho baat baat meñ baazī
ek ho apne kaam ke naT-khaT
naaz kī teġh ġhair par mat khīñch
dil hamārā kahīñ na jaave kaT
jis tarah chāñd par ho abr-e-siyāh
zulf yuuñ mukhḌe par rahī hai ulaT
iid hai aaj aa gale mil leñ
dushmanoñ kī to jaa.e chhātī phaT
ġham meñ tere haiñ ashk yuuñ jaarī
har ghaḌī jis tarah chale hai rahaT
ishq vo ghar hai jis ke shāh-o-gadā
bā-adab chūmte rahe chaukhaT
kulle-shai-in-muhīt kī taqrīr
khaT se insān ke hue parghaT
dil-e-bechāra ik tan-e-tanhā
fauj-e-ġham aa.e hai tamām simaT
dost kī ho madad to yak dam meñ
jaa.e ye ma.arka tamām palaT
yaañ qadam raah par sivā.e na rakh
ai 'muhib' raah ishq kī hai bikaT