merī ḳhabar na lenā ai yaar hai ta.ajjub
jī se bache jo mujh sā bīmār hai ta.ajjub
vāda-ḳhilāfiyoñ se terī hai dil meñ shub.ha
hove jo hashr meñ bhī dīdār hai ta.ajjub
tum kahte ho ki vo aatā hai paas tere
us yaar se to yaaro bisyār hai ta.ajjub
hastī se ik nafas kā hai fāsla adam tak
tis par bhī hai pahuñchnā dushvār hai ta.ajjub
kaafī na thā tumhāre abrū kā ik ishāra
khīñchī jo āshiqoñ par talvār hai ta.ajjub
sau baar dīn-o-īmāñ gum ho.e to ajab kyā
TuuTe jo ahd-e-ulfat ik yaar hai ta.ajjub
kyūñkar kaTegī yārab auqāt ġham-zadoñ kī
koī nahīñ jahāñ meñ ġham-ḳhvār hai ta.ajjub
nāseh mirā garebāñ siine kā fikr mat kar
sābūt us meñ paanā ik taar hai ta.ajjub
pāmāl dil kiye haiñ aalam ke har qadam meñ
sīkhī ye tum ne kis se raftār hai ta.ajjub
gaalī huī hai ab to takiya-kalām terā
sīdhī zabāñ kasū se guftār hai ta.ajjub
islām meñ ye kaisā inkār kufr se hai
tasbīh meñ piro.e zunnār hai ta.ajjub
dīvāna hai 'muhib' tū terī shikasta-hālī
dekhe jo aañkh uThā kar dildār hai ta.ajjub
har baat meñ jo kahiye majbūr hai qabāhat
insāñ ko gar samjhiye muḳhtār hai ta.ajjub
kuchh gū-magū hai yaaro ye amr bandagī kā
afkār hai achambhā iqrār hai ta.ajjub