pahle saf-e-ushshāq meñ merā hī lahū chaaT
shamshīr-nigah terī ne kyā kyā na kiyā kaaT
gulshan meñ hañsī dekh ke us gul kī yakāyak
hasrat se ga.e ġhunchoñ ke yak-laḳht jigar phaaT
itnā bhī diyā sabr na us nafs-danī ko
kutte kī tarah baiThtā qismat kā diyā chaaT
dhulvā.iye kyā jāma-e-isyāñ ko basāo
chal kuuch meñ dariyā ke kināre haiñ khaḌe ghaaT
ho ġhalla-e-ḳhilqat se na saudā-e-mohabbat
hai ishq kī dukkān so baniye kī nahīñ haaT
ik pashm-nazar un kī meñ hai shaal do-shāla
jo baiThe bichhā boriyā aur oḌh liyā TaaT
sattar do bahattar haiñ tarīq un se alāhada
hai ishq kī manzil kī judī raah judī baaT
ishqiya kahe sher o yā mad.h-o-manāqib
aalam kā banvāḌā kahe shā.ir nahīñ hai bhaaT
tab raf.a ḳhalish ho.e miyāñ dil se 'muhib' ke
kahte haiñ so tujh se kahe dil khol ke dukh baaT