Waliullah Muhib

udhar wo be-murawwat bewafa be-rahm qatil hai

Waliullah Muhib

udhar vo be-muravvat bevafā be-rahm qātil hai
idhar be-sabr-o-be-taskīn-o-be-tāqat mirā dil hai
udhar sayyād chashm-o-dām-e-zulf-o-nāvak-e-mizhgāñ
idhar pahlū meñ dil ik said-e-lāġhar nīm-bismil hai
udhar us ko to mere naam se bhī nañg hai har-dam
idhar siine meñ dil mushtāq hai āshiq hai maa.il hai
udhar vo ḳhud-parast ayyār hai maġhrūr hai ḳhud-bēñ
idhar merā dil az-ḳhud-rafta hai shaidā.ī ġhāfil hai
udhar har roz kā us ko ḳhilāf-e-va.ada hai āsāñ
idhar shab-tā-sahar-gah intizārī saḳht mushkil hai
udhar ḳhush sair-e-dariyā se hai vo nā-āshnā zālim
idhar ham ġharq-e-bahr-e-ġham haiñ aur nāpaid sāhil hai
udhar barq-e-nigah hai sabr ke ḳhirman kī ātish-zan
idhar kisht-e-ummīd-o-yās ab tak sair-e-hāsil hai
udhar shāne ko us ke zulf-o-kākul ne chaḌhāyā sar
idhar dil par balā-e-āsmāñ yak-dast nāzil hai
udhar baaqī havas hai be-hisāb us ko jafāoñ kī
idhar likhiye vafāoñ kī to kuchh apnā hī fāzil hai
udhar vo aa.ine meñ aks-e-rū apne kā hai maa.il
idhar har shai meñ vo hai jalva-gar-e-shakl-o-shamā.il hai
udhar hai iḳhtilāt aġhyār se us yār-e-jānī kā
idhar dil zikr us ke kā 'muhib' din raat shāmil hai
Top Urdushayar.com