ai ham-nafas us zulf ke afsāne ko mat chheḌ
bas silsila jumbāñ na ho dīvāne ko mat chheḌ
jis rañg se hai dil meñ mire ishq ruḳh-e-yār
nāseh na ho dīvāna parī-ḳhāne ko mat chheḌ
vo sham-e-majālis to hai fānūs meñ raushan
ai ishq tū mujh soḳhta parvāne ko mat chheḌ
to aap hai paimāñ-shikan is daur meñ saaqī
kahtā hai mujhe bazm meñ paimāne ko mat chheḌ
tarvār se kyā ham ko Darātā hai miyāñ jā
yaañ aap se maujūd haiñ mar jaane ko mat chheḌ
hamdam na kah us vaqt ki bose kī talab kar
majlis meñ mujhe gāliyāñ dilvāne ko mat chheḌ
manzūr agar chheḌ hañsī kī hai to pyāre
hote 'muhib' apne ke to begāne ko mat chheḌ