dil-e-ḳhilqat-e-ḳhudā ko sanamā jalā na chandāñ
ki falak ke paar pahuñche taf-e-āh-e-dard-mandāñ
kaheñ kyā ki dekhte haiñ tujhe ġhair saath ḳhandāñ
rahe hoñT ho chabāte ba-jigar-fashurda-dandāñ
vahīñ jhaḌ-guloñ ke tuude bañdheñ gulbanoñ ke nīche
kabhū sub.h-dam chaman meñ jo vo ġhuncha-lab ho ḳhandāñ
kaho kyā barrār-sohbat mirī us kī ho azīzāñ
dil-e-nāzuk apnā shīsha dil-e-sañg us kā sandāñ
na bachegā said un se koī āhu-e-haram tak
jo rahe shikār-afgan yahī ambarīñ-kamandāñ
kabhū rañg se hinā ke sar-e-dast-o-pā nigārīñ
na sivā-e-ḳhūn-e-āshiq kareñ ye nigār-bandāñ
na ho ġhair saath har-dam mutabassim ai parī-vash
na namak-fishāñ ho dil ke sar-e-rīsh mustamindāñ
kiye shāna riish ko yaañ abas aa.e shaiḳh jī tum
ki ye jam-e-bazm-e-rindāñ hai farīq-e-rīsh-ḳhandāñ
nahīñ faal lab pe us ke ye hai mehr ḳhāmushī kī
vahī samjhe hai ye nukta ki jo hai baḌā suḳhan-dāñ
kahīñ sarv se mushābah tere qad ko past-fitrat
ye hai gosh-zad hamāre suḳhan-e-nazar-bulandāñ
sabhī mahv-e-ḳhud-numā.ī ba-misāl-e-ā.ina haiñ
ye ḳhudā.ī se nirālā hai giroh-e-ḳhud-pasandāñ
tirī vasf kā kamar ke na bañdhā kisī se mazmūñ
rahe ḳhvāb meñ adam tak jo ka.ī ḳhayāl bandāñ
'muhib' is adā ke sadqe ki uThā.e maar Thokar
sar-e-pā-e-nāznīñ se vo sar-e-niyāz-mandāñ