Waliullah Muhib

marke mein ishq ke sar se guzarne se na Dar

Waliullah Muhib

ma.arke meñ ishq ke sar se guzarne se na Dar
gar uThātā hai to ye jokhoñ to marne se na Dar
jān-e-man terā garebāñ-gīr ho saktā hai kaun
āshiqoñ ke ḳhuuñ meñ tū dāman ke bharne se na Dar
zāhidā tū sohbat-e-rindāñ meñ aayā hai to sun
tark gaalī kā na kar pagḌī utarne se na Dar
gar subuk-bārī kī ḳhvāhish hai to us qātil se phir
zindagī ik bojh hai sar kā utarne se na Dar
us ke har halqe meñ haiñ dil se pareshānoñ ke saath
ye na kah hamdam ki zulf us kī bikharne se na Dar
us ke kūche meñ qadam rakhte hue kaTtā hai sar
sar ko rakh le haath par aur paañv dharne se na Dar
dil diyā tū ne 'muhib' ab ḳhauf hai kis chiiz kā
do-do bāteñ zehn se jis vaqt karne se na Dar
Top Urdushayar.com