Waliullah Muhib

kiya bagh-e-jahan mein nam un ka sarw kah kah kar

Waliullah Muhib

kiyā bāġh-e-jahāñ meñ naam un kā sarv kah kah kar
ka.ī aaheñ jo niklī thiiñ mire siine se rah rah kar
sahāb-o-barq haiñ yā shīsha-o-sāġhar haiñ kyā ham tum
ki ham jis vaqt roveñ tum hañso us vaqt qah qah kar
hamārā girya dekhe chashm-e-kam se kyuuñ na dariyā ko
samundar se ka.ī jaate haiñ yaañ ik pal meñ bah bah kar
hue jis gul ke ham chāh-e-zaqan meñ ġharq kar deñge
mire yak qatra-e-shabnam meñ bulbul Duub chah chah kar
dhamak vo aah ke na.are kī apne hai ki gardūñ se
sitāre TuuTe paḌte haiñ kueñ jaate haiñ dah dah kar
barā-e-imtihāñ ushshāq par teġhe chalātā hai
jo zaḳhmī ho ke girte haiñ to rah jaatā hai dah dah kar
dilā kūche se us ke aaj agar tū ḳhair se aayā
yahī din kal bhī hai dar-pesh sheḳhī se na pah pah kar
namāz-e-shaiḳh ho itmām kyūñkar sarqa dushman hai
ki TuuTe hai vuzū har baar jab khāte haiñ ah ah kar
imārat to Dahe phir ban sake hai par tire hāthoñ
hue haiñ ḳhaak kyā kyā qasr-e-dil ai shoḳh Dhah Dhah kar
na ho ruḳh se tire ai aah faujoñ kā muqābil ruḳh
kiyā tū ne savāroñ ko piyāda maat shah shah kar
lab-e-bām aa ke abrū kī jhamak din sulh ke dikhlā
ki aalim dekhne ko shahar kā dauḌe hai mah mah kar
zamīñ meñ gaḌ ga.e dekh us qad-e-ra.anā ko ḳhajlat se
lab-e-jū par akaḌte the khaḌe kyā sarv lah lah kar
vafā.eñ roz-e-avval se mirī tujh ko na ḳhush aa.iiñ
jafā meñ maiñ terī āḳhir huā bhar umr sah sah kar
idhar to jāma-chīn khole hai us gul-rū ke dāman ko
udhar bulbul rakhe hai raḳht-e-gul ḳhajlat se tah tah kar
laḌātā hai agar aġhyār se tū roz-o-shab āñkheñ
'muhib' apne par ai zālim nigāh-e-lutf gah gah kar
Top Urdushayar.com