aanā hai to aa jaao yak aan mirā sāhab
ik aan ke haiñ ham bhī mehmān mirā sāhab
muddat se tumhārā maiñ sau jaan se huuñ āshiq
kyuuñ jaan ke hote ho anjān mirā sāhab
ġhusse ho uThe mujh par kyuuñ tīr-o-kamāñ le kar
maiñ hone ko baiThā huuñ qurbān mirā sāhab
nāgāh sanam yaaro mujh se jo milā aa kar
mujh par ye ḳhudā kā hai ehsān mirā sāhab
ye banda ho yā tum ho vaañ ġhair na ho koī
is Dhab ke hai milne kā armān mirā sāhab
kuchh yaad nahīñ mujhe ko kāfir huuñ musalmāñ huuñ
hai ġham meñ tire yaañ tak nisyān mirā sāhab
jo ishq kī manzil ke haiñ ahl-e-kamāl un kā
hai shukr-o-shikāyat meñ nuqsān mirā sāhab
saaf ā.īna-e-dil meñ raushan hai jamāl us kā
bar-aks hai ik aalam hairān mirā sāhab
sau tarah kahūñ dil kā ahvāl huzūr us ke
mere to nahīñ rahne ausān mirā sāhab
ham ishq kī daulat se ik kunj-e-qanā.at meñ
karte haiñ faqīrāna guzrān mirā sāhab
yaañ had se qadam bāhar rakhne koī paayā hai
is jurm meñ sar leñ haiñ tāvān mirā sāhab
munsif ho 'muhib' dil meñ is baat ko Tuk soche
jab be-sar-o-sāmāñ ho insān mirā sāhab
kyā saath le aayā thā le jā.egā kyā yaañ se
phir chāhiye kis ḳhātir sāmān mirā sāhab
ma.anī meñ vo kāTeñ haiñ auqāt bahut be-ġham
jo shaḳhs ba-sūrat haiñ uryān mirā sāhab
shamshīr-e-barhana ke jauhar nazar aate haiñ
insāf kī āñkhoñ ke darmyān mirā sāhab